
Amitabh Bachchan’s most memorable dialogues
Amitabh Bachchan, the BIG BOSS of Bollywood, has given us so many hits and visual treats from 5 decades.
Here are some iconic dialogues of Mr Big B.
1.Rishte me to hum tumhare baap lagte hain, naam hai Shahenshah. —Shahenshah
Image Source
2.Yeh tumhare baap ka ghar nahin, police station hai, is liye seedhi tahrah khade raho – Zanjeer
Image Source
3.Jao pehle us aadmi ka sign le ke aao jisne mera baap ko chor kaha tha; pehle us aadmi ka sign le ke aao jisne meri maa ko gali deke naukri se nikal diya tha; pehle us aadmi ka sign le ke aao jisne mere haath pe ye likh diya tha..ye.. Uske BAAD, uske baad, mere bhai, tum jahan kahoge main wahan sign kar doonga. – Deewar
Image Source
4.Moochein ho to Nathulal jaise warna na ho. – Sharaabi
Image Source
5.Govardhan seth, samundar mein tairne waale kuoon aur taalabon mein dubki nahin lagaya karte hain. – Sharaabi
6. Sapne bhi samundar ki lahron ki tarah haqeeqat ki chattanon se takrakar toot jaate hain. – Deewar
7. Don ko pakadna mushkil hi nahin, naamumkin hai. – Don
Image Source
8.Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai – ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne padti to shadab ho bhi sakti thi. – Kabhie Kabhie
Image Source
9.Aaj aap ke paas aap ki saari daulat sahi, sab kuch sahi, lekin maine aap se jyaada garib aaj tak nahin dekha. Good bye, Mr R K Gupta. – Trishul
10.Pura naam, Vijay Dinanath Chauhan, baap ka naam, Dinanath Chauhan, maa ka naam, Suhasini Chauhan, gaon Mandwa, umar chhattis saal. – Agneepath
Image Source
11.Zindagi ka tambu teen bambuo pe khada hai. – Sharabi
12.Mujhe jo sahi lagta hai main karta hoon, fir chahe wo bhagwan ke khilaaf ho, kanoon ke khilaf ho ya pure system ke khilaaf. – Sarkar
Image Source
13.Parampara, Pratishtha, Anushasan. Ye is gurukul ke teen stambh hai. Ye wo aadarsh hain jinse hum aapka aane waala kal banaate hain. – Mohabbatein
Image Source
14.Is duniya mein do tarah ka keeda hota hai. Ek woh jo kachre se uthta hai. Aur doosra woh jo paap ki gandegi se uthta hai. — Hum
Image Source
15.Ghadi Ghadi drama karta hai, saala – Sholay
Image Source
16.Hum jahan khade ho jaate hain, line wahi se shuru hoti hain. – Kaalia
Image Source
17.Hai kisi maa ke laal me himmat, jo mere saamne aaye? – Namak Haraam
Image Source
18.Aap ne jail ki deewaron aur zanjeeron ka loha dekha hai, jailer sahab, Kaalia ki himmat ka faulaad nahi dekha. – Kaalia
19. Bachpan se hain sar par Allah ka haath, aur Allah Rakha hai mere saath, baazu par hai saat sau chhiyaasi ka billa, bees number ka beedi peeta hoon, kaam karta hoon coolie ka aur naam hai Iqbal. – Coolie
Image Source
20. I can talk English, I can walk English, I can laugh English because English is a very phunny language. Bhairo becomes Byron because their minds are very narrow! – Namak Halal
Image Source
21. Main aur meri tanhaai — aksar ye baatein karte hain… – Silsila
Image Source
22.Yeh telephone bhi ajeeb cheez hai — aadmi sochta kuch hai, bolta kuch hai aur karta kuch hai. – Agneepath
23.Pagar badao… pandrah sau rupiye me ghar nahin chalta, saala imaan kya chalega? – Agneepath
24.Sooryavansh ek aag hai jisme doston ke liye jitni jyoti hai, dushmanon ke liye utni hi jwala. Bhoon dalo is kambaqt ko.-Sooryavansham
Image Source
25.Hamare desh mein kaam dhoondna bhi ek kaam hai – Shakti
Image Source
26.Jisne pachchees saal se apni maa ko thoda thoda marte dekha ho, use maut se kya darr – Trishul
27.Do aansoo is aankh se gire, phir do us aankh se. Phir do is aankh se, do us aankh se. Phir do is aankh se, do us aankh se. Kitne huye?…Nau lakh ke haar ke liye, barah lakh ke aansoo? Daddy hote to kehte: Vijay, tumhe business karna nahi aata? – Sharaabi
28. Aisa to aadmi life mein doich time bhaagta hai. Olympic ka race ho, yaa Police ka case ho. Tum kisliye bhaagta hai bhai? -Amar Akbar Anthony
Image Source
29. Badi himmat chahiye, Vijay Sahab, bada hausla chahiye iske liye. Daag daaman pe nahi dil pe liya hai maine. – Kabhie Kabhie
30. Aaj mere paas bangla hai, gaadi hai, bank balance hai, kya hae tumhare paas? – Deewar